Iss Deewane Ladke Ko – Sarfarosh – Aamir & Sonali – Alka Yagnik

Arz Hai, Dawa Bhi Kaam Na Aaye, Koi Dua Na Lage

Dawa Bhi Kaam Na Aaye, Koi Dua Na Lage

Mere Khuda Kisi Ko, Pyar Ki Hawa Na Lage

Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye

Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye

Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye

Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye

Dard-E-Dil, Jaane Na, Paas Maein Jitna Aaun

Utni Door Yeh Jaaye, Jaaye, Haan Jaaye

Rang Na Dekhe, Roop Na Dekhe,

Yeh Jawaani Ki, Dhoop Na Dekhe

Arz Hai, Kuch Majnu Bane, Kuch Raanjha Bane

Kuch Romeo, Kuch Farhad Hue

Is Rang Roop Ki Chaahat Mein, Jaane Kitne Barbaad Hue, Vo Dekho

Ishq Mein Iske, Baanvri Hoon Mein

Yeh Bhala Hai To, Kya Buri Hoon Mein

Yeh Ladka, Hai Phir Bhi, Jaane Kyun Sharmaaye,

Jaane Kyun Sharmaaye,Jaane Kyun Sharmaaye, Haan Sharmaaye

Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye

Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye

Jaanti Hoon Mein, Yeh Tadapta Hai

Pyar Mein Iska, Dil Dhadakta Hai

Jise Dekho Dil Ki Dhuni Ramata Hai

Are Yeh Mandir Nahin Hai, Shivala Nahin Hai

Haseenon Se Kehdo Kahin Aur Jayen

Mera Dil Hai Dil, Dharamshala Nahin Hai

Yeh Akele Mein, Aah Bharta Hai

Phir Bhi Kehne Se, Yeh Kyun Darta Hai

Sach Kuchh Bhi, Bole Na, Jhoothi Baat Banaaye

Jhoothi Baat Banaaye, Haan Banaaye

Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye

Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye

Dard-E-Dil, Jaane Na, Paas Maein Jitna Aaun

Utni Door Yeh Jaaye, Jaaye, Haan Jaaye

Is Deewane Ladke Ko, Koi Samjhaye

Pyar Mohabbat Se Na Jaane, Kyun Yeh Ghabraye

Phool Khilte Hain, Bahaaron Ka Sama Hota Hai

Aise Mausam Mein Hi To, Pyar Jawaan Hota Hai

Dil Ki Baaton Ko, Hothon Se Nahin Kehte

Yeh Fasaana To, Nigaahon Se Bayaan Hota Hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *